Zabt kar ke hansi ko bhool geya

Zabt kar ke hansi ko bhool geya
Main to us zakhm hi ko bhool geya
Zaat-dar-zaat hamsafar reh kar
Ajnabi ajnabi ko bhool geya

Subh tak vajh-e-jaan-kani thi jo baat
Main usay shaam hi ko bhool geya
Ehd-e-vabastagi guzaar ke main
Vajh-e-wabastagi ko bhool geya

Sab daleelen to mujhe ko yaad rahin
Behss kya thi ussi ko bhool geya
Kyun na ho naaz is zehaanat par
Ek main har kisi ko bhool geya

Sab se pur-amn waqiya hai yeh
Aadmi aadmi ko bhool geya
Qehqaha maarte hi deewana
Har gham-e-zindagi ko bhool geya

Kya qayamat hui agar aik shakhs
Apni khush-qismati ko bhool geya
Sab buray mujh ko yaad rehte hain
Jo bhalaa tha usi ko bhool geya

Us se waada to kar liya lekin
Apni kam-fursati ko bhool geya
Bastiyo ab to rasta dedo
Ab to main us gali ko bhool geya

Us ne goya mujhi ko yaad rakha
Main bhi goya usi ko bhool geya
Yaani tum woh ho waqeyi. Hadh hai
Main to sach-much sabhi ko bhool geya

Ab to har baat yaad rehti hai
Ghaliban main kisi ko bhool geya
Us ki khushiyon se jalne wala Jaun
Apni Eza-dahi ko bhool geya

Comments